About Us

Herbanics: 70 Saalon Ki Legacy, Ab Naye Andaaz Mein

Hum Kon Hain?

Herbanics ki kahani 1950 mein shuru hui, jab hamare baron ne Hikmat aur Pansar ki dunya mein qadam rakha. Pichli kai dehaiyon se hum Okara mein apni branch ke zariye logon ko khalis jade-bootiyon se shifa pohancha rahe hain. Aaj hum isi 70 saal purani legacy aur tajurbe ko ek brand ki shakl mein aapke samne pesh kar rahe hain.

Hum Kiya Sale Karte Hain?

Hum ne purani hikmat ko aaj ke daur ki zarooryat ke mutabiq dhala hai. Hamari products khalis qudrati ajza se tayyar ki jati hain, jin mein shamil hain:

Hamari Inspiration

Hamari asal inspiration hamare bare hain, jinho ne 1950 se quality aur imandari ko apna shear banaya. Unka sikhaya hua ilm aur tajurba hi hai ke aaj hum aisi products bana rahe hain jo na sirf asar dikhati hain balkay jin par aap aankh band kar ke bharosa kar sakte hain. Hum chahte hain ke Okara ki is matti se nikla hua ye ilm pure Pakistan aur dunya bhar mein Herbanics ke naam se pehchana jaye.

Hum Se Kyun Kharidein?

  • Khandani Tajurba: 1950 se hikmat ki field mein maujoodgi hamare kaam ki gawahi deti hai.

  • Asli aur Khalis: Hum sirf wahi bechte hain jo hum khud apne gharon mein istemal karte hain.

  • Jadeed aur Qudrati: Hamari products jahan purani hikmat par mabni hain, wahin inki packing aur quality international standards ke mutabiq hai.